
Dilbar Ki Aankhon Ka
Dilbar Ki Aankhon Ka weaves longing and devotion with soulful melody—look into those eyes and feel the heart’s whisper.
Dilbar Ki Aankhon Ka Lyrics
Haan dilbar ki aankhon ka deedar na kiya Kya khaak woh jiya jisne pyaar na kiya Dilbar ki aankhon ka deedar na kiya Kya khaak woh jiya jisne pyaar na kiya
Na kiya na kiya Jisne pyaar na kiya Kya kiya kya kiya Kya kiya jisne pyaar na kiya
Aankhon ko aankhon se Kisi ki chaar na kiya Kya khaak woh jiya jisne Pyaar na kiya
Pyaar saccha agar chahiye Toh dua mein asar chahiye Pyaar saccha agar chahiye Toh dua mein asar chahiye Buzdilon ka nahi kaam yeh Pyaar mein toh jigar chahiye
Ishq hua par khulke izhaar na kiya Kya khaak woh jiya jisne pyaar na kiya Dilbar ki aankhon ka deedar na kiya Kya khaak woh jiya jisne pyaar na kiya
Na kiya Na kiya jisne pyaar na kiya Kya kiya kya kiya Kya kiya jisne pyaar na kiya
