Skip to content
Indiawaale

Indiawaale

Vishal-Shekhar, KK, Shankar Mahadevan, Neeti Mohan
Music
Vishal-Shekhar
Lyricist
Irshad Kamil
Release Date
8 November 2014
Song Description

Indiawaale by Vishal-Shekhar, KK, Shankar Mahadevan & Neeti Mohan, with lyrics by Irshad Kamil, is a patriotic anthem full of energy and pride.

Indiawaale Lyrics

Ho maane ya koi maane na Yahaan apni bhi thodi adaa thoda andaaz hai Aise hain chaahe waise hain Arey jo bhi hain jaise hain Khud pe humein naaz hai

Jaane na humko ye zamaana Chaaho to humko aazmaana Hum yaar-baaz hum jaal-saaz Hum ishq-baaz dilwaale Kehte hain humko pyar se India waale Chhu lete dil ke taar se India waale Har jeet cheen le haar se Indiawaale Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale

Yun toh seedhe bade.. Kabhi chahein to hathon se lete laqeerein chura O.. humko parwaah nahi Jo bhi kehta hai, kehne de jag ye bhala ya bura Jaisi bhi marzi ho humaari Karte hain aisi hoshiyaari Par dil se yaar jo le pukaar To jaan nisaar kar daale Kehte hain humko pyar se India wale Chhu lete dil ke taar se India wale Har jeet cheen le haar se Indiawaale Dushman ke chakke chhuda de hum Indiaawale Ungli pe sabko nachaa dein hum Indiawaale

Aankhon ki aankhon ki chaabi se Thoda betaabi se chupke se khole dilon ke taale Jaan dete, usko jahaan dete Apna imaan dete jiski bhi baahe gale me daale

Duniya se humko kya le jaana Yaaron ke dil mein ho thikana Humein ek baar hota hai pyaar Ye laakh baar kehla le Kehte hain humko pyar se India wale Chhu lete dil ke taar se India wale Har jeet cheen le haar se Indiawaale Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale.. Dushman ke chakke chhuda de, chhuda de… Ungli pe sabko nachaa dein… Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale..