Skip to content
Khat

Khat

Noor Chahal
Music
Hassrat
Lyricist
Noor Chahal
Release Date
13 February 2025
Song Description

Khat is a soulful romantic track by Noor Chahal with heartfelt lyrics and music by Hassrat, expressing love through a letter.

Khat Lyrics

Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka Mujhe khat mila mere yaar ka Gaaye yeh zameen jhoome aasman Mil gaya pata dil faraar ka

Dil mein thehri si koi betaabi hai vo Behta paani kabhi lehron sa baaghi hai vo Dil mein thehri si koi betaabi hai vo Behta paani kabhi lehron sa baaghi hai vo

Thoda kitabi har lafz gulabi Usne likha mere naam ka Vo aayega, muskurayega Waqt uss haseen ke deedar ka

Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka Mujhe khat mila mere yaar ka Gaaye yeh zameen jhoome aasman Mil gaya pata dil faraar ka

Aasmani hui Main deewani Yeh zameen begaani Main hawa mein hoon Jo vo aaye Seene se lagaaye Yun hi reh jaaye Paas mere rubaroo Vaari jaun Diwali eid manaun Khatm silsila intezaar ka

Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka Mujhe khat mila mere yaar ka Gaaye yeh zameen jhoome aasman Mil gaya pata dil faraar ka

Royi ye zameen Roya aasman Roya dil mera zaar o zaar tha