Skip to content
Praan Pita Ka

Praan Pita Ka

Kailash Kher
Music
Harsh Upadhyay
Lyricist
Pranav Vatsa
Featured
Release Date
12 March 2025
Song Description

Praan Pita Ka lyrics by Kailash Kher, penned by Pranav Vatsa and composed by Harsh Upadhyay, capture a father's silent strength and sacrifice.

Praan Pita Ka Lyrics

Dhundhla Gaya Re, Saara Jahan Ye Jakhm Ye Gehraa, Mujh Mein Hua Re Ab Kya Karun Main? Tu Hi Bata De Jeene Ki Mujhko, Ab Tu Wajah De

Kya Ye Sach Hai Tera, Ya To Bhram Hai Mera Ye Samay Ka Lekha, Hai Kyon Itna Bura?

Mere Bharose Ko Todne Laga Palkon Ke Paani Se Khelne Laga Tham Gaya, Tham Gaya Waqt Ye Mera Jaag Ja, Jaag Ja Parmeshwara

Bilakh Raha Praan Pita Ka Tadap Raha Praan Pita Ka Bilakh Raha Praan Pita Ka Tadap Raha Praan Pita Ka

Andar Andar Umda Samundar Andar Andar Utha Hai Bawandar Andar Andar Bikhra, Andar Andar Toota Andar Andar Haara, Andar Andar Rootha

Andar Andar Bhatka, Jaise Khoya Koi Neel Ambar Mein Hai, Kaali Gufa Koi Jag Haara, Bechaara, Banjaara, Laachaara Firta Raha

Hatheliyon Ko Jab Se Teri Thaama Khud Ko Teri Nazaron Se Hai Jaana Prem Tera Amrit Sa, Mol Tera Jag Se Juda

Andheri Raaton Ka Jyot Le Liya Toofaan Mein Mujhko Akela Kiya Chhal Gaya, Chhal Gaya Parmeshwara Bhar Ke Mere Ghar Ko Mujhe Beghar Kiya

Bilakh Raha Praan Pita Ka Tadap Raha Praan Pita Ka Bilakh Raha Praan Pita Ka Tadap Raha Praan Pita Ka

Andar Andar Umda Samundar Andar Andar Utha Hai Bawandar Dhundhla Gaya Re, Saara Jahan Ye Jakhm Ye Gehraa, Mujh Mein Hua Re Jag Haara, Bechaara, Banjaara, Laachaara Firta Raha

Praan Pita Ka Lyrics – Kailash Kher | Pranav Vatsa | Harsh U | RaptureMuse