
Safar Mein Gum is an emotional journey of love and longing, sung by Sarthak Kalyani, Palak, and Srijan with lyrics by Srijan Bhageria.
Safar Mein Gum Lyrics
Safar mein gum sa main ho gaya Yeh raasta mera kho gaya
Hoon main be-khabar, Chal doon ab kidhar, Hoon kaisa shajar, Khoju dar ba dar
Safar mein gum sa main ho gaya Yeh raasta mera kho gaya
Laapata phir raha, Manzil hai kahan Laapata phir raha, Kya yeh woh raasta Laapata phir raha, Kya yeh safar mera
Kal ki fikar mein Aaj bhi hai gumshuda Ab ki fikar mein Kal bhi tha dilshuda
Dhoondhta haan dhoondhta main kya Laapata phir raha
Man ki tarang se Aaj ko hoon aankta Man ki tarang mein Kal ko hoon taakta
Kaisi yeh kashmakash hai Gum hoon main ya gum safar hai Kaisi yeh kashmakash hai Ba-haal, be-haal rukh kahan
Safar mein gum sa main ho gaya ho gaya Yeh raasta mera kho gaya kho gaya
Safar mein gum sa main ho gaya ho gaya Yeh raasta mera kho gaya kho gaya
Kho gaya aa aa
Safar mein gum sa main ho gaya (Ye jagah kahan) Yeh raasta mera kho gaya (Kya yahi hai ghar mera)
Safar mein gum sa main ho gaya (Kya meri daastaan) Yeh raasta mera kho gaya (Kahan mera raasta)
